un ke honTon ka wo andaz kahin uf jaise
un ke hoñToñ kā vo andāz kahīñ uf jaise
aur tasvīr musavvir kā tasavvuf jaise
itne Thahrāv se vo baat kiyā karte haiñ
ek se dūsre sajde meñ tavaqquf jaise
is tarah ḳhud ko zamāne se bachā rakhā hai
un ko manzūr nahīñ ḳhud meñ tasarruf jaise
yuuñ huā aa ke mire dar se palaT jaatī hai
kuchh batāne meñ ho zālim ko takalluf jaise
har taraf shor hai ḳhāmosh khaḌā hai koī
ho rahā ho use hone kā ta.assuf jaise
is tarah vaqt ne badnām kiyā hai 'momin'
koī mahfil meñ karātā ho ta'āruf jaise
un ke honTon ka wo andaz kahin uf jaise
aur taswir musawwir ka tasawwuf jaise
itne Thahraw se wo baat kiya karte hain
ek se dusre sajde mein tawaqquf jaise
is tarah KHud ko zamane se bacha rakha hai
un ko manzur nahin KHud mein tasarruf jaise
yun hua aa ke mere dar se palaT jati hai
kuchh batane mein ho zalim ko takalluf jaise
har taraf shor hai KHamosh khaDa hai koi
ho raha ho use hone ka tassuf jaise
is tarah waqt ne badnam kiya hai 'momin'
koi mahfil mein karaata ho ta'aruf jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.