un ke jaane se ye dil mein hui surat paida
un ke jaane se ye dil meñ huī sūrat paidā
ki huā dard aur us meñ huī shiddat paidā
is vafā par ye jafā.eñ tirī samjhe samjhe
ki mohabbat hī se hotī hai adāvat paidā
nargis-e-shoḳh meñ tarkīb-e-hayā hai pinhāñ
nigah-e-sharm se hai rañg-e-sharārat paidā
ham jo dil-soz na hote to ye hasrat aatī
ki tire dil meñ bhī ho soz-e-mohabbat paidā
kūcha-e-yār meñ jaanā hī ġhazab thā 'raunaq'
ki huī zumra-e-a.adā meñ qayāmat paidā
un ke jaane se ye dil mein hui surat paida
ki hua dard aur us mein hui shiddat paida
is wafa par ye jafaen teri samjhe samjhe
ki mohabbat hi se hoti hai adawat paida
nargis-e-shoKH mein tarkib-e-haya hai pinhan
nigah-e-sharm se hai rang-e-shararat paida
hum jo dil-soz na hote to ye hasrat aati
ki tere dil mein bhi ho soz-e-mohabbat paida
kucha-e-yar mein jaana hi ghazab tha 'raunaq'
ki hui zumra-e-ada mein qayamat paida
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.