un ke jab jab bhi mere nam lifafe aae
un ke jab jab bhī mire naam lifāfe aa.e
saath meñ logoñ ke kyā kyā na qayāfe aa.e
vo sahīfa hai mirā dil ki tirī nisbat se
jis pe har daur meñ zaḳhmoñ ke izāfe aa.e
mere ehsās ne ḳhushbū ko bulāyā jab bhī
terī zulfoñ ke mahakte hue naame aa.e
tajarbe umr ke har moḌ pe muñh moḌ ga.e
kaam kuchh aa.e to bachpan ke qayāfe aa.e
aap hī aa.e na aane kī ḳhabar pahuñchā.ī
vaise aane ko bahar rañg lifāfe aa.e
un ke jab jab bhi mere nam lifafe aae
sath mein logon ke kya kya na qayafe aae
wo sahifa hai mera dil ki teri nisbat se
jis pe har daur mein zaKHmon ke izafe aae
mere ehsas ne KHushbu ko bulaya jab bhi
teri zulfon ke mahakte hue name aae
tajarbe umr ke har moD pe munh moD gae
kaam kuchh aae to bachpan ke qayafe aae
aap hi aae na aane ki KHabar pahunchai
waise aane ko bahar rang lifafe aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.