un ke jalwon ki tasawwur mein farawani hai aaj
un ke jalwon ki tasawwur mein farawani hai aaj
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
un ke jalvoñ kī tasavvur meñ farāvānī hai aaj
jis jagah maiñ huuñ vahāñ har chiiz nūrānī hai aaj
un kā jalva kār-farmā hai kisī ke husn meñ
ishq phir halqa-ba-gosh-e-husn-e-insānī hai aaj
izn-e-mai-noshī hai phir saaqī kī chashm-e-mast se
ham ne tauba toḌ kar piine kī phir Thānī hai aaj
ab to piine se sivā haiñ laġhzishoñ meñ lazzateñ
kyoñ ki ḳhud saaqī kī mastoñ par nigahbānī hai aaj
qissa-e-māzī hai goyā lan-tarānī kī sadā
har taraf pesh-e-nazar ik nūr-e-yazdānī hai aaj
yuuñ ba-qadr-e-kasr-e-isyāñ hai rahmat kā nuzūl
maiñ ne tauba kī thī tauba par pashemānī hai aaj
aa rahe haiñ sāmne vaa.iz ke poshīda gunāh
parda-e-rahmat meñ merī chāk-dāmānī hai aaj
kis qadar maflūj the ab tak havādis se havās
baa'd muddat ham ne apnī shakl pahchānī hai aaj
'āshiq' o 'mahtāb' o ‘muztar' 'shād' 'āzurdā' 'ḳhalīq'
'kaif' o 'sādiq' haiñ 'shifā' mahv-e-ġhazal-ḳhvānī hai aaj
un ke jalwon ki tasawwur mein farawani hai aaj
jis jagah main hun wahan har chiz nurani hai aaj
un ka jalwa kar-farma hai kisi ke husn mein
ishq phir halqa-ba-gosh-e-husn-e-insani hai aaj
izn-e-mai-noshi hai phir saqi ki chashm-e-mast se
hum ne tauba toD kar pine ki phir Thani hai aaj
ab to pine se siwa hain laghzishon mein lazzaten
kyon ki KHud saqi ki maston par nigahbani hai aaj
qissa-e-mazi hai goya lan-tarani ki sada
har taraf pesh-e-nazar ek nur-e-yazdani hai aaj
yun ba-qadr-e-kasr-e-isyan hai rahmat ka nuzul
main ne tauba ki thi tauba par pashemani hai aaj
aa rahe hain samne waiz ke poshida gunah
parda-e-rahmat mein meri chaak-damani hai aaj
kis qadar mafluj the ab tak hawadis se hawas
ba'd muddat hum ne apni shakl pahchani hai aaj
'ashiq' o 'mahtab' o ‘muztar' 'shad' 'azurda' 'KHaliq'
'kaif' o 'sadiq' hain 'shifa' mahw-e-ghazal-KHwani hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.