un ke jaur-e-behad ko bhi KHamoshi se sahta hun
un ke jaur-e-behad ko bhī ḳhāmoshī se sahtā huuñ
jaane kin mauhūm ummīdoñ kī rau meñ maiñ bahtā huuñ
tum kyā jaano in bātoñ se tum to duur hī rahte ho
maiñ jo bāteñ tanhā.ī meñ dil se kartā rahtā huuñ
aaj tumhāre paas huuñ lekin tum ko koī qadr nahīñ
kal tum ḳhud sab se pūchhoge maiñ kis desh meñ rahtā huuñ
zulf-e-hastī ko suljhāna aaj ke daur kā manshā hai
maiñ bechāra ishq ke jhagḌoñ hī meñ khoyā rahtā huuñ
kal thiiñ ġhair kī kaḌvī bāteñ aaj tumhāre charche haiñ
kal bhī sab kuchh sahtā thā maiñ aaj bhī sab kuchh sahtā huuñ
mere andar kā zaḳhmī dil apnā dard sunātā hai
aur zamāne par ye zāhir hai maiñ bhī kuchh kahtā huuñ
farsh-nashīñ ko arsh-nashīnī se 'sarvar' kyā nisbat hai
lekin maiñ aise hī ḳhvāboñ ke chakkar meñ rahtā huuñ
un ke jaur-e-behad ko bhi KHamoshi se sahta hun
jaane kin mauhum ummidon ki rau mein main bahta hun
tum kya jaano in baaton se tum to dur hi rahte ho
main jo baaten tanhai mein dil se karta rahta hun
aaj tumhaare pas hun lekin tum ko koi qadr nahin
kal tum KHud sab se puchhoge main kis desh mein rahta hun
zulf-e-hasti ko suljhana aaj ke daur ka mansha hai
main bechaara ishq ke jhagDon hi mein khoya rahta hun
kal thin ghair ki kaDwi baaten aaj tumhaare charche hain
kal bhi sab kuchh sahta tha main aaj bhi sab kuchh sahta hun
mere andar ka zaKHmi dil apna dard sunata hai
aur zamane par ye zahir hai main bhi kuchh kahta hun
farsh-nashin ko arsh-nashini se 'sarwar' kya nisbat hai
lekin main aise hi KHwabon ke chakkar mein rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.