un ke kahne pe likh rahe hote
ham bhī cassette meñ baj rahe hote
chhoḌ dete agar zamīñ apnī
āsmānoñ meñ uḌ rahe hote
thoḌī chālākiyāñ jo aa jātīñ
ham farishtoñ se puj rahe hote
bech dete jo ham zamīr apnā
ham bhī sikkoñ meñ tul rahe hote
vo to kahiye qalam ne rok liyā
varna koThoñ pe bik rahe hote
un ke kahne pe likh rahe hote
hum bhi cassette mein baj rahe hote
chhoD dete agar zamin apni
aasmanon mein uD rahe hote
thoDi chaalakiyan jo aa jatin
hum farishton se puj rahe hote
bech dete jo hum zamir apna
hum bhi sikkon mein tul rahe hote
wo to kahiye qalam ne rok liya
warna koThon pe bik rahe hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.