un ke KHayal aae to aate chale gae
un ke ḳhayāl aa.e to aate chale ga.e
dīvāna zindagī ko banāte chale ga.e
jo saañs aa rahī hai usī kā payām hai
betābiyoñ ko aur baḌhāte chale ga.e
is dil se aa rahī hai kisī yaar kī sadā
vīrān mirā dil thā basāte chale ga.e
hosh-o-havās pe mire bijlī sī gir paḌī
mastī bharī nazar se pilā ke chale ga.e
un ke KHayal aae to aate chale gae
diwana zindagi ko banate chale gae
jo sans aa rahi hai usi ka payam hai
betabiyon ko aur baDhate chale gae
is dil se aa rahi hai kisi yar ki sada
viran mera dil tha basate chale gae
hosh-o-hawas pe mere bijli si gir paDi
masti bhari nazar se pila ke chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.