un ke kuche ki taraf aaj jo hum ja nikle
un ke kūche kī taraf aaj jo ham jā nikle
bole jo nikle idhar us kā janāza nikle
ḳhalq kahtī sar-e-bāzār vo rusvā nikle
uTh ga.e haath jidhar ko tire shaidā nikle
rabt pahlā sā to un se nahīñ lekin ab bhī
is qadar hai ki jo uTThe to kabhī jā nikle
itr bistar pe malūñ phuul chunūñ takiyoñ par
shab-e-va.ada hai ḳhudā jaane vo kab aa nikle
vaqt-e-bad pūchh ke aatā nahīñ chheḌūñ kyūñkar
is hañsī meñ na kahīñ aur hī jhagḌā nikle
aisī mujh juzv ko us kul se hai nisbat jaise
qatra dariyā se ho aur qatre se dariyā nikle
haa.e jis tiir ko maiñ dil meñ jagah duuñ ai 'ranj'
kyā vahī tiir mere ḳhuun kā pyāsā nikle
un ke kuche ki taraf aaj jo hum ja nikle
bole jo nikle idhar us ka janaza nikle
KHalq kahti sar-e-bazar wo ruswa nikle
uTh gae hath jidhar ko tere shaida nikle
rabt pahla sa to un se nahin lekin ab bhi
is qadar hai ki jo uTThe to kabhi ja nikle
itr bistar pe malun phul chunun takiyon par
shab-e-wada hai KHuda jaane wo kab aa nikle
waqt-e-bad puchh ke aata nahin chheDun kyunkar
is hansi mein na kahin aur hi jhagDa nikle
aisi mujh juzw ko us kul se hai nisbat jaise
qatra dariya se ho aur qatre se dariya nikle
hae jis tir ko main dil mein jagah dun ai 'ranj'
kya wahi tir mere KHun ka pyasa nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.