un ke qisse agar bayan hote
un ke qisse agar bayāñ hote
raaz saare tabhī ayaañ hote
tum ko aate hunar jo rahzan ke
bas tumhī mīr-e-kārvāñ hote
bair ham se sahī magar socho
ham na hote to tum kahāñ hote
zindagī vo jagah dikhā de ab
tujh ko paate to ham jahāñ hote
un kī mahfil meñ dil nahīñ lagtā
jab vo auroñ meñ shādmāñ hote
ye mukammal agar jahāñ hotā
phir ḳhalāoñ meñ kyuuñ jahāñ hote
soch meñ qurbateñ agar hotīñ
fāsle yuuñ na darmiyāñ hote
tum hī gosha-nashīn the 'ādil'
varna charche kahāñ kahāñ hote
un ke qisse agar bayan hote
raaz sare tabhi ayan hote
tum ko aate hunar jo rahzan ke
bas tumhi mir-e-karwan hote
bair hum se sahi magar socho
hum na hote to tum kahan hote
zindagi wo jagah dikha de ab
tujh ko pate to hum jahan hote
un ki mahfil mein dil nahin lagta
jab wo auron mein shadman hote
ye mukammal agar jahan hota
phir KHalaon mein kyun jahan hote
soch mein qurbaten agar hotin
fasle yun na darmiyan hote
tum hi gosha-nashin the 'adil'
warna charche kahan kahan hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.