un ke ruKH pe dekh kar aanchal hawa
un ke ruḳh pe dekh kar āñchal havā
aur pāgal ho ga.ī pāgal havā
dhajjiyāñ mere garebāñ kī liye
un ke kūche meñ zarā to chal havā
nik.hat gul le ke apne saath saath
jānib-e-sahrā chalī chanchal havā
āsmāñ pe chhā ga.ī kaalī ghaTā
le uḌī kis aañkh kā kājal havā
barg-o-gul 'saifī' zamīñ pe aa ga.e
yuuñ chalī sehn-e-chaman meñ kal havā
un ke ruKH pe dekh kar aanchal hawa
aur pagal ho gai pagal hawa
dhajjiyan mere gareban ki liye
un ke kuche mein zara to chal hawa
nikhat gul le ke apne sath sath
jaanib-e-sahra chali chanchal hawa
aasman pe chha gai kali ghaTa
le uDi kis aankh ka kajal hawa
barg-o-gul 'saifi' zamin pe aa gae
yun chali sehn-e-chaman mein kal hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.