un ke sab jhuT moatabar Thahre
un ke sab jhuuT mo'atabar Thahre
jo mere sach the be-asar Thahre
ham bhī sau jaañ nisār kar deñge
un kī ham par jo ik nazar Thahre
tinkā tinkā bikhar gayā āḳhir
kaise tūfāñ meñ koī ghar Thahre
din kī ḳhushiyāñ na ġham kī raat baneñ
vaqt kā bhī kabhī safar Thahre
mas.ale ek pal meñ hal ho jaa.eñ
tū agar merā chār-gar Thahre
us se kah to diyā chalā jaa.e
dil ye kahtā rahā magar Thahre
koī tadbīr ho vo lauT aa.eñ
paañv thak jaa.eñ rahguzar Thahre
jin ki nisbat siyāh shab se na ho
mere āñgan meñ vo sahar Thahre
ek aahaT kī aas meñ kab se
haiñ 'hinā' dil ke bām-o-dar Thahre
un ke sab jhuT mo'atabar Thahre
jo mere sach the be-asar Thahre
hum bhi sau jaan nisar kar denge
un ki hum par jo ek nazar Thahre
tinka tinka bikhar gaya aaKHir
kaise tufan mein koi ghar Thahre
din ki KHushiyan na gham ki raat banen
waqt ka bhi kabhi safar Thahre
masale ek pal mein hal ho jaen
tu agar mera chaar-gar Thahre
us se kah to diya chala jae
dil ye kahta raha magar Thahre
koi tadbir ho wo lauT aaen
panw thak jaen rahguzar Thahre
jin ki nisbat siyah shab se na ho
mere aangan mein wo sahar Thahre
ek aahaT ki aas mein kab se
hain 'hina' dil ke baam-o-dar Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.