unki aamad ki jab KHabar aai
un kī aamad kī jab ḳhabar aa.ī
dil ne lī muskurā ke añgḌā.ī
aañkh roī to dil taḌap uTThā
daur-e-māzī kī jab bhī yaad aa.ī
hañstī hai mere haal par duniyā
uf mohabbat kī kār-farmā.ī
jab bhī dekhā hai aa.ina maiñ ne
terī sūrat mujhe nazar aa.ī
shām-e-ġham koī bhī rafīq na thā
aap aa.e to mujh ko niiñd aa.ī
aur koī nahīñ zamāne meñ
maiñ huuñ yā shām-e-ġham kī tanhā.ī
tere hāl-e-zabūñ se ai 'iqbāl'
dost kī ho na jaa.e rusvā.ī
un ki aamad ki jab KHabar aai
dil ne li muskura ke angDai
aankh roi to dil taDap uTTha
daur-e-mazi ki jab bhi yaad aai
hansti hai mere haal par duniya
uf mohabbat ki kar-farmai
jab bhi dekha hai aaina main ne
teri surat mujhe nazar aai
sham-e-gham koi bhi rafiq na tha
aap aae to mujh ko nind aai
aur koi nahin zamane mein
main hun ya sham-e-gham ki tanhai
tere haal-e-zabun se ai 'iqbaal'
dost ki ho na jae ruswai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.