unki aamad se main shadan ho gaya
un kī aamad se maiñ shādāñ ho gayā
aate hī har sū charāġhāñ ho gayā
dil ne āhista kahā mujh se yahī
ab to vasl-e-jān-e-jānāñ ho gayā
ishq jo us bevafā se ho gayā
dil ke bahlāne kā sāmāñ ho gayā
husn jo dekhā but-e-bedād kā
jo bhī thā us kā sanā-ḳhvāñ ho gayā
allah allah husn kā kahnā hai kyā
mehr-o-mah bhī is se tābāñ ho gayā
vo ga.e aur dard-e-furqat de ga.e
jaate jaate dīda-giryāñ ho gayā
choT ik dil par lagī TukḌe huā
diida merā ashk-e-bārāñ ho gayā
ashk jo niklā firāq-e-yār meñ
gaal par aayā to marjāñ ho gayā
jab milā mujh ko na 'ahqar' shuġhl kuchh
bazm meñ aa kar ġhazal-ḳhvāñ ho gayā
un ki aamad se main shadan ho gaya
aate hi har su charaghan ho gaya
dil ne aahista kaha mujh se yahi
ab to wasl-e-jaan-e-jaanan ho gaya
ishq jo us bewafa se ho gaya
dil ke bahlane ka saman ho gaya
husn jo dekha but-e-bedad ka
jo bhi tha us ka sana-KHwan ho gaya
allah allah husn ka kahna hai kya
mehr-o-mah bhi is se taban ho gaya
wo gae aur dard-e-furqat de gae
jate jate dida-giryan ho gaya
choT ek dil par lagi TukDe hua
dida mera ashk-e-baran ho gaya
ashk jo nikla firaq-e-yar mein
gal par aaya to marjaan ho gaya
jab mila mujh ko na 'ahqar' shughl kuchh
bazm mein aa kar ghazal-KHwan ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.