unki aankhon ke jam kaghaz par
unki aankhon ke jam kaghaz par
Sajid Akhtar Mehshar Ansari
MORE BYSajid Akhtar Mehshar Ansari
un kī āñkhoñ ke jaam kāġhaz par
mai-kashī kā payām kāġhaz par
us ne bhejā salām kāġhaz par
ho rahā hai kalām kāġhaz par
ruup legī hasīñ imārat kā
hai mohabbat jo ḳhaam kāġhaz par
titliyāñ us pe aa ke baiTh ga.iiñ
terā likkhā jo naam kāġhaz par
bas laboñ ke nishān paḌhtā huuñ
ḳhat kā mazmūñ tamām kāġhaz par
likh rahā hai ġhazal ko shahzādī
ek adnā ġhulām kāġhaz par
us kī zulfoñ pe kuchh kahā jūñ-hī
ho ga.ī jaise shaam kāġhaz par
un ki aankhon ke jam kaghaz par
mai-kashi ka payam kaghaz par
us ne bheja salam kaghaz par
ho raha hai kalam kaghaz par
rup legi hasin imarat ka
hai mohabbat jo KHam kaghaz par
titliyan us pe aa ke baiTh gain
tera likkha jo nam kaghaz par
bas labon ke nishan paDhta hun
KHat ka mazmun tamam kaghaz par
likh raha hai ghazal ko shahzadi
ek adna ghulam kaghaz par
us ki zulfon pe kuchh kaha jun-hi
ho gai jaise sham kaghaz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.