unki aankhon mein jo nami si hai
un kī āñkhoñ meñ jo namī sī hai
baat dil par koī lagī sī hai
yuuñ mire ghar meñ kyā nahīñ maujūd
ek terī hī bas kamī sī hai
zehn meñ hai kisī ke husn kā aks
dil ke atrāf raushnī sī hai
har-nafas hai kisī ke naam kā dard
zindagī jaise bandagī sī hai
husn kā bāñkpan are tauba
jaise talvār ik khiñchī sī hai
qurb un kā 'sharar' payām-e-sukūñ
dil meñ ik aag bhī lagī sī hai
un ki aankhon mein jo nami si hai
baat dil par koi lagi si hai
yun mere ghar mein kya nahin maujud
ek teri hi bas kami si hai
zehn mein hai kisi ke husn ka aks
dil ke atraf raushni si hai
har-nafas hai kisi ke nam ka dard
zindagi jaise bandagi si hai
husn ka bankpan are tauba
jaise talwar ek khinchi si hai
qurb un ka 'sharar' payam-e-sukun
dil mein ek aag bhi lagi si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.