Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unki aankhon mein nasib apna munawwar dekha

Gulshan Barelvi

unki aankhon mein nasib apna munawwar dekha

Gulshan Barelvi

MORE BYGulshan Barelvi

    un āñkhoñ meñ nasīb apnā munavvar dekhā

    ek do baar nahīñ ḳhvāb ye aksar dekhā

    choT dil par lagī ehsās ko zaḳhmī paayā

    phuul se haath meñ jab bhī koī patthar dekhā

    maiñ to bas dhun meñ tirī chaltā rahā chaltā rahā

    raah meñ dasht dekhā na samundar dekhā

    tujh se milte ye muqaddar meñ kahāñ thā lekin

    zindagī ham ne tujhe ḳhvāb meñ aksar dekhā

    itnā thā tark-e-ta'alluq meñ ta'alluq us ne

    jaate jaate mujhe har gaam pe muḌ kar dekhā

    zindagānī ko kahāñ tak hai zarūrat un

    saath rah kar to kabhī un se bichhaḌ kar dekhā

    log aate haiñ Thaharte haiñ chale jaate haiñ

    ye tamāshā-e-jahāñ ham ne barābar dekhā

    us ne phir terī tamanna kahāñ jis ne

    zindagī tujh ko kabhī ġhaur se paḌh kar dekhā

    pyaas pyaas milī aur to kuchh bhī na milā

    ham ne ai 'ishq tirī raah pe chal kar dekhā

    na aa.egā mire dil ko yaqīñ thā ai dost

    rāsta ham ne tirā phir bhī to shab bhar dekhā

    ġhair to ġhair haiñ apnoñ ko bhī ham ne 'gulshan'

    vaqt paḌne pe badalte hue tevar dekhā

    un ki aankhon mein nasib apna munawwar dekha

    ek do bar nahin KHwab ye aksar dekha

    choT dil par lagi ehsas ko zaKHmi paya

    phul se hath mein jab bhi koi patthar dekha

    main to bas dhun mein teri chalta raha chalta raha

    rah mein dasht hi dekha na samundar dekha

    tujh se milte ye muqaddar mein kahan tha lekin

    zindagi hum ne tujhe KHwab mein aksar dekha

    itna tha tark-e-ta'alluq mein ta'alluq us ne

    jate jate mujhe har gam pe muD kar dekha

    zindagani ko kahan tak hai zarurat un ki

    sath rah kar to kabhi un se bichhaD kar dekha

    log aate hain Thaharte hain chale jate hain

    ye tamasha-e-jahan hum ne barabar dekha

    us ne phir teri tamanna hi kahan ki jis ne

    zindagi tujh ko kabhi ghaur se paDh kar dekha

    pyas hi pyas mili aur to kuchh bhi na mila

    hum ne ai 'ishq teri rah pe chal kar dekha

    tu na aaega mere dil ko yaqin tha ai dost

    rasta hum ne tera phir bhi to shab bhar dekha

    ghair to ghair hain apnon ko bhi hum ne 'gulshan'

    waqt paDne pe badalte hue tewar dekha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now