unki aur meri kisi roz laDai na gai
unki aur meri kisi roz laDai na gai
Zain-ul-Abideen Khan Arif
MORE BYZain-ul-Abideen Khan Arif
un kī aur merī kisī roz laḌā.ī na ga.ī
baat bigḌī hai kuchh aisī ki banā.ī na ga.ī
ham ne har-chand malā un ko bahut roġhan-e-qāz
par kisī shakl zarā un kī rukhā.ī na ga.ī
kyuuñ na khātā tire milne kī qasam ho ke ye tang
thī magar zahr se bhī talḳh ki khaa.ī na ga.ī
is qadar zo.af meñ āvāz nikaltī to kahāñ
ham se zanjīr-e-dar-e-yār hilā.ī na ga.ī
us ke dīdār se mahrūm nazākat ne rakhā
donoñ hāthoñ se naqāb us se uThā.ī na ga.ī
girya-e-chashm ne sau baar uThāyā tūfāñ
par zarā ātish-e-dil merī bujhā.ī na ga.ī
mar ga.e phir bhī vo muztar hai mirā dil 'ārif'
ḳhaak meñ laash kisī taur dabā.ī na ga.ī
un ki aur meri kisi roz laDai na gai
baat bigDi hai kuchh aisi ki banai na gai
hum ne har-chand mala un ko bahut roghan-e-qaz
par kisi shakl zara un ki rukhai na gai
kyun na khata tere milne ki qasam ho ke ye tang
thi magar zahr se bhi talKH ki khai na gai
is qadar zoaf mein aawaz nikalti to kahan
hum se zanjir-e-dar-e-yar hilai na gai
us ke didar se mahrum nazakat ne rakha
donon hathon se naqab us se uThai na gai
girya-e-chashm ne sau bar uThaya tufan
par zara aatish-e-dil meri bujhai na gai
mar gae phir bhi wo muztar hai mera dil 'arif'
KHak mein lash kisi taur dabai na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.