unki bhi shararat to dekho hum ko hi kahoge doshi kya
un kī bhī sharārat to dekho ham ko hī kahoge doshī kyā
bardāsht se bāhar ho jaa.e to oḌhe koī ḳhamoshī kyā
jo apnī zaat meñ ḳhud-sar haiñ kyā un kā zamīr jhiñjhoḌe koī
zāhir par kaan na deñ jo unheñ bātin kī bhalā sargoshī kyā
duniyā kī banā.ī rasm hai ye jo ham ko nibhānī hai varna
nāzāñ jis par ḳhud gulshan ho us gul-ruḳh kī gul-poshī kyā
isrār na kar ai saaqī tū ye sāġhar-o-mīnā duur haTā
jis dil pe ġhamoñ kā qabza ho us par chhā.e mad.hoshī kyā
kyoñ chhoTī chhoTī bātoñ par hairān-o-pareshāñ hote ho
bedār agar hai ruuh to phir zehn-o-dil kī be-hoshī kyā
jis din tū kahegā maiñ us din sahrā kī jānib chal dūñgā
jo jaan luTātā ho tujh par use ḳhauf-e-ḳhāna-badoshī kyā
un ki bhi shararat to dekho hum ko hi kahoge doshi kya
bardasht se bahar ho jae to oDhe koi KHamoshi kya
jo apni zat mein KHud-sar hain kya un ka zamir jhinjhoDe koi
zahir par kan na den jo unhen baatin ki bhala sargoshi kya
duniya ki banai rasm hai ye jo hum ko nibhani hai warna
nazan jis par KHud gulshan ho us gul-ruKH ki gul-poshi kya
israr na kar ai saqi tu ye saghar-o-mina dur haTa
jis dil pe ghamon ka qabza ho us par chhae madhoshi kya
kyon chhoTi chhoTi baaton par hairan-o-pareshan hote ho
bedar agar hai ruh to phir zehn-o-dil ki be-hoshi kya
jis din tu kahega main us din sahra ki jaanib chal dunga
jo jaan luTata ho tujh par use KHauf-e-KHana-badoshi kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.