unki chuTki mein dil na mal jata
un kī chuTkī meñ dil na mal jaatā
to ye sikka hamārā chal jaatā
sham.a thā yaar jo pighal jaatā
aur maiñ parvāna thā jo jal jaatā
kyā kaheñ sair ko vo gul na gayā
baaġh kā rañg hī badal jaatā
gor hī se na ban paḌī varna
azhdahā to hameñ nigal jaatā
ab to pistāñ nikāliye sāhab
itne sin meñ anaar phal jaatā
sadme ghere haiñ hijr meñ dam ko
saañs paatā to ye nigal jaatā
kyā girātā 'saḳhī' ye charḳh mujhe
yā-'alī' kahtā aur sambhal jaatā
un ki chuTki mein dil na mal jata
to ye sikka hamara chal jata
shama tha yar jo pighal jata
aur main parwana tha jo jal jata
kya kahen sair ko wo gul na gaya
bagh ka rang hi badal jata
gor hi se na ban paDi warna
azhdaha to hamein nigal jata
ab to pistan nikaliye sahab
itne sin mein anar phal jata
sadme ghere hain hijr mein dam ko
sans pata to ye nigal jata
kya giraata 'saKHi' ye charKH mujhe
ya-'ali' kahta aur sambhal jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.