unki jab aadat hui
un kī jab 'ādat huī
dil meñ ik vahshat huī
ḳhush-nasībī hai mirī
aap se nisbat huī
duur tak ham tum chale
tab tumheñ ulfat huī
vo ga.e to un ke saath
har ḳhushī ruḳhsat huī
tum ko zulmat ke ḳhilāf
uThne kī himmat huī
nasl-e-nau kā shauq-o-zauq
dekh kar hairat huī
‘abd-ḳhū rahte 'sujīt'
tum ko ik muddat huī
un ki jab 'adat hui
dil mein ek wahshat hui
KHush-nasibi hai meri
aap se nisbat hui
dur tak hum tum chale
tab tumhein ulfat hui
wo gae to un ke sath
har KHushi ruKHsat hui
tum ko zulmat ke KHilaf
uThne ki himmat hui
nasl-e-nau ka shauq-o-zauq
dekh kar hairat hui
‘abd-KHu rahte 'sujit'
tum ko ek muddat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.