unki KHalwat mein rasa bhi hoga
un kī ḳhalvat meñ 'rasā' bhī hogā
kabhī yuuñ hukm-e-ḳhudā bhī hogā
mujh pe jo tū ne sitam Dhāyā hai
kahīñ duniyā meñ huā bhī hogā
sabr vāloñ kā bhī din aa.egā
ek din roz-e-jazā bhī hogā
aap sā koī nahīñ duniyā meñ
aap ne ye to sunā bhī hogā
mahfil-e-sher meñ ho aa.eñ chalo
aaj sunte haiñ 'rasā' bhī hogā
un ki KHalwat mein 'rasa' bhi hoga
kabhi yun hukm-e-KHuda bhi hoga
mujh pe jo tu ne sitam Dhaya hai
kahin duniya mein hua bhi hoga
sabr walon ka bhi din aaega
ek din roz-e-jaza bhi hoga
aap sa koi nahin duniya mein
aap ne ye to suna bhi hoga
mahfil-e-sher mein ho aaen chalo
aaj sunte hain 'rasa' bhi hoga
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.