unki muKhaalifat se mera nam ho gaya
un kī muḳhālifat se mirā naam ho gayā
āġhāz se hī ḳhuub ye anjām ho gayā
merī burā.ī karne meñ vo bhī lage rahe
maiñ ye samajh rahī thī mirā kaam ho gayā
jis ko bachāyā dhuup havāoñ se umr bhar
qasr-e-yaqīn vo mirā nīlām ho gayā
bechainiyoñ meñ kaaT dī maiñ ne tamām shab
tujh ko sukūn mil gayā ārām ho gayā
jis ko banā ke rakkhā thā kal maiñ ne sar kā taaj
vo hī nazar meñ banda-e-be-dām ho gayā
ab aa ke mujh pe khul hī ga.ī us kī haisiyat
chaliye isī bahāne baḌā kaam ho gayā
sūraj abhī Dhalā hī hai hairat to is pe hai
itnā añdherā kaise sar-e-shām ho gayā
un ki muKHalifat se mera nam ho gaya
aaghaz se hi KHub ye anjam ho gaya
meri burai karne mein wo bhi lage rahe
main ye samajh rahi thi mera kaam ho gaya
jis ko bachaya dhup hawaon se umr bhar
qasr-e-yaqin wo mera nilam ho gaya
bechainiyon mein kaT di main ne tamam shab
tujh ko sukun mil gaya aaram ho gaya
jis ko bana ke rakkha tha kal main ne sar ka taj
wo hi nazar mein banda-e-be-dam ho gaya
ab aa ke mujh pe khul hi gai us ki haisiyat
chaliye isi bahane baDa kaam ho gaya
suraj abhi Dhala hi hai hairat to is pe hai
itna andhera kaise sar-e-sham ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.