unki qismat sanwarta hun main
un kī qismat sañvārtā huuñ maiñ
ek do logoñ kā ḳhudā huuñ maiñ
terī yādoñ ke par katar ke hī
dil ke piñjre ko kholtā huuñ maiñ
faisle dil se letā thā saare
zehn ke shahr meñ nayā huuñ maiñ
ḳhāmushī thā zabān vāloñ kī
be-zabānoñ kī ab sadā huuñ maiñ
kis ne āvāz dī hai pīchhe se
kis kī ḳhātir rukā huā huuñ maiñ
ġhāliban sochtā huuñ kaafī kam
kuchh ziyāda hī sochtā huuñ maiñ
ḳhud se aage nikal ke ai raahī
ḳhud ko āvāz de rahā huuñ maiñ
bārhā kartā huuñ hadeñ maiñ paar
phir kahīñ paañv dekhtā huuñ maiñ
jaane kitnoñ kī ho tumhīñ manzil
jaane kitnoñ kā rāstā huuñ maiñ
un ki qismat sanwarta hun main
ek do logon ka KHuda hun main
teri yaadon ke par katar ke hi
dil ke pinjre ko kholta hun main
faisle dil se leta tha sare
zehn ke shahr mein naya hun main
KHamushi tha zaban walon ki
be-zabanon ki ab sada hun main
kis ne aawaz di hai pichhe se
kis ki KHatir ruka hua hun main
ghaaliban sochta hun kafi kam
kuchh ziyaada hi sochta hun main
KHud se aage nikal ke ai rahi
KHud ko aawaz de raha hun main
barha karta hun haden main par
phir kahin panw dekhta hun main
jaane kitnon ki ho tumhin manzil
jaane kitnon ka rasta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.