Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unki raftar se dil ka ajab ahwal hua

Wazir Ali Saba Lakhnavi

unki raftar se dil ka ajab ahwal hua

Wazir Ali Saba Lakhnavi

un raftār se dil ajab ahvāl huā

ruñdh gayā pis gayā miTTī huā pāmāl huā

dasht-e-vahshat ilāqa mujhe imsāl huā

dāġh-e-sauda sifat-e-nayyar-e-iqbāl huā

is bakheḌe se ilāhī kahīñ chhuTkārā ho

ishq-e-gesū na huā jaan janjāl huā

nazar-e-lutf na ne mire rone par

tifl-e-ashk ai mah-e-ḳhūbī na ḳhush-iqbāl huā

haiñ vo suufī jo kabhī nāla-e-nāqūs sunā

vajd karne lage ham dil ajab haal huā

paḌ gayā un pe mire pech meñ laane vabāl

kyā pareshān tire gesuoñ haal huā

daulat-e-faqr ho ai mun.imo aur kamlī ho

faḳhr kyā hai jo do-shāla huā rūmāl huā

apnī qismat navishta jo dikhāyā ham ne

hashr ke roz ġhalat nāma-e-a.amāl huā

āsmāñ ne mujhe mahrūm-e-shahādat rakkhā

teġh-e-qātil ke liye baḳht-e-siyah-e-Dhāl huā

log kahne lage kundan pe chaḌhā.e miinā

sabza-e-ḳhat se vo ḳhush-rañg tirā gaal huā

teġh-e-husn ai gul-e-tar ho ga.ī ḳhūn-ālūda

mujh pe ġhusse meñ terā muñh jo bahut laal huā

tā.ir-e-dil liye aap ne sayyādī

rishta-e-dām-e-balā zulf har baal huā

lā-makāñ tak kahīñ Thahrā na mirā pā-e-ḳhayāl

mazra-e-sabz-e-falak biich meñ pāmāl huā

ai 'sabā' aap ri.āyat na kareñ lafzoñ

zar-e-gul paayā jo gulchīñ ne to kyā maal huā

un ki raftar se dil ka ajab ahwal hua

rundh gaya pis gaya miTTi hua pamal hua

dasht-e-wahshat ka ilaqa mujhe imsal hua

dagh-e-sauda sifat-e-nayyar-e-iqbaal hua

is bakheDe se ilahi kahin chhuTkara ho

ishq-e-gesu na hua jaan ka janjal hua

nazar-e-lutf na ki tu ne mere rone par

tifl-e-ashk ai mah-e-KHubi na KHush-iqbaal hua

hain wo sufi jo kabhi nala-e-naqus suna

wajd karne lage hum dil ka ajab haal hua

paD gaya un pe mere pech mein lane ka wabaal

kya pareshan tere gesuon ka haal hua

daulat-e-faqr ho ai munimo aur kamli ho

faKHr kya hai jo do-shaala hua rumal hua

apni qismat ka nawishta jo dikhaya hum ne

hashr ke roz ghalat nama-e-amal hua

aasman ne mujhe mahrum-e-shahadat rakkha

tegh-e-qatil ke liye baKHt-e-siyah-e-Dhaal hua

log kahne lage kundan pe chaDhae mina

sabza-e-KHat se wo KHush-rang tera gal hua

tegh-e-husn ai gul-e-tar ho gai KHun-aluda

mujh pe ghusse mein tera munh jo bahut lal hua

tair-e-dil ki liye aap ne sayyaadi ki

rishta-e-dam-e-bala zulf ka har baal hua

la-makan tak kahin Thahra na mera pa-e-KHayal

mazra-e-sabz-e-falak bich mein pamal hua

ai 'saba' aap riayat na karen lafzon ki

zar-e-gul paya jo gulchin ne to kya mal hua

Source :
  • Ghuncha-e-Arzu
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now