Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unki ruKHsat ek qayamat thi dam-e-izhaar-e-subh

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

unki ruKHsat ek qayamat thi dam-e-izhaar-e-subh

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    un ruḳhsat ik qayāmat thī dam-e-iz.hār-e-sub.h

    shaam tak bachtā nazar aatā nahīñ bīmār-e-sub.h

    mujh ko bhī ai sham.a ro le vasl shab hai aḳhīr

    aur do aañsū bahā ai kushta-e-āzār-e-sub.h

    kho diyā tūl-e-shab-e-furqat ne lutf-e-intizār

    dīda-e-be-ḳhvāb ko hai hasrat-e-dīdār-e-sub.h

    vasl shab bujh gayā thā jo hamārā dāġh-e-dil

    mehr ban kar ab vahī hai turra-e-dastār-e-sub.h

    sub.h se pahle ulaT us ne chehre se naqāb

    ab koī kāfir bhī kar saktā nahīñ inkār-e-sub.h

    raat bhar merī zabāñ par sar-guzasht-e-shām-e-ġham

    un ke lab haiñ āshnā-e-lazzat-e-guftār-e-sub.h

    vasl be-lutfiyāñ bhī lutf se ḳhālī nahīñ

    raat bhar dil ko maza detī rahī takrār-e-sub.h

    iid milne aa.eñ vo gar iid niklā hai chāñd

    shaam aa.e saath le kar daulat-e-bedār-e-sub.h

    vasl meñ hai apnī qismat ḳhalish bhī yādgār

    dāman-e-shab se ulajh jaate haiñ aksar ḳhār-e-sub.h

    de subūhī jald saaqī ab nahīñ māh-e-siyām

    be-sabab kyuuñ raah dekheñ shaam mai-ḳhvār-e-sub.h

    dekhnā kyā jald guzrī hai shab-e-va.ada 'nazar'

    vo idhar aa.e udhar zāhir hue āsār-e-sub.h

    un ki ruKHsat ek qayamat thi dam-e-izhaar-e-subh

    sham tak bachta nazar aata nahin bimar-e-subh

    mujh ko bhi ai shama ro le wasl ki shab hai aKHir

    aur do aansu baha ai kushta-e-azar-e-subh

    kho diya tul-e-shab-e-furqat ne lutf-e-intizar

    dida-e-be-KHwab ko hai hasrat-e-didar-e-subh

    wasl ki shab bujh gaya tha jo hamara dagh-e-dil

    mehr ban kar ab wahi hai turra-e-dastar-e-subh

    subh se pahle ulaT di us ne chehre se naqab

    ab koi kafir bhi kar sakta nahin inkar-e-subh

    raat bhar meri zaban par sar-guzasht-e-sham-e-gham

    un ke lab hain aashna-e-lazzat-e-guftar-e-subh

    wasl ki be-lutfiyan bhi lutf se KHali nahin

    raat bhar dil ko maza deti rahi takrar-e-subh

    id milne aaen wo gar id ka nikla hai chand

    sham aae sath le kar daulat-e-bedar-e-subh

    wasl mein hai apni qismat ki KHalish bhi yaadgar

    daman-e-shab se ulajh jate hain aksar KHar-e-subh

    de subuhi jald saqi ab nahin mah-e-siyam

    be-sabab kyun rah dekhen sham ki mai-KHwar-e-subh

    dekhna kya jald guzri hai shab-e-wada 'nazar'

    wo idhar aae udhar zahir hue aasar-e-subh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now