unki sanjidgi se kibr-e-jahan TuT gaya
unki sanjidgi se kibr-e-jahan TuT gaya
Syed Khadime Rasul Aini
MORE BYSyed Khadime Rasul Aini
un kī sanjīdgī se kibr-e-jahāñ TuuT gayā
shar kī paspā.ī huī zor-e-sināñ TuuT gayā
baaġh meñ chhāte hī tārīk ḳhizāñ kā mausam
chehra-e-gul se tabassum kā samāñ TuuT gayā
un ke jalve kī zarā dekho asar-añgezī
un kī aamad huī aur shahr-e-butāñ TuuT gayā
tum to īqān kī sīḌhī pe chaḌhāne se rahe
kaise kahte ho ki imkān-e-gumāñ TuuT gayā
kaun hai is kā sabab aaj ma.īshat hai tabāh
kyā huā aaj taraqqī kā nishāñ TuuT gayā
qalb meñ tere rahe ḳhvesh-o-aqārib kā ġham
fikr karnā na kabhī apnā jahāñ TuuT gayā
muntazir jis ke liye 'ainī' rahā shauq-e-bahār
vo huā jalvā-fishāñ zor-e-ḳhizāñ TuuT gayā
un ki sanjidgi se kibr-e-jahan TuT gaya
shar ki paspai hui zor-e-sinan TuT gaya
bagh mein chhate hi tarik KHizan ka mausam
chehra-e-gul se tabassum ka saman TuT gaya
un ke jalwe ki zara dekho asar-angezi
un ki aamad hui aur shahr-e-butan TuT gaya
tum to iqan ki siDhi pe chaDhane se rahe
kaise kahte ho ki imkan-e-guman TuT gaya
kaun hai is ka sabab aaj maishat hai tabah
kya hua aaj taraqqi ka nishan TuT gaya
qalb mein tere rahe KHwesh-o-aqarib ka gham
fikr karna na kabhi apna jahan TuT gaya
muntazir jis ke liye 'aini' raha shauq-e-bahaar
wo hua jalwa-fishan zor-e-KHizan TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.