unki sharminda-e-ehsan si ho jati hai
un kī sharminda-e-ehsān sī ho jaatī hai
ye nazar mil ke pashemān sī ho jaatī hai
tum ne chhīnā hai mire dil kā diyā aañkh kī lau
in añdheroñ meñ bhī pahchān sī ho jaatī hai
aañkh kā shahr ho ābād to dil kī bastī
aap hī aap se vīrān sī ho jaatī hai
un ko pahchān ke bhī taaza sitam par 'shabnam'
itnī nādān hai hairān sī ho jaatī hai
un ki sharminda-e-ehsan si ho jati hai
ye nazar mil ke pasheman si ho jati hai
tum ne chhina hai mere dil ka diya aankh ki lau
in andheron mein bhi pahchan si ho jati hai
aankh ka shahr ho aabaad to dil ki basti
aap hi aap se viran si ho jati hai
un ko pahchan ke bhi taza sitam par 'shabnam'
itni nadan hai hairan si ho jati hai
- Book : Shab Zaad (Pg. 101)
- Author : Shabnam Shakeel
- Publication : Mavaraa Publications (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.