unki surat nazar nahin aati
un kī sūrat nazar nahīñ aatī
niiñd ai chashm-e-tar nahīñ aatī
kam huā jā rahā hai zauq-e-junūñ
fasl-e-gul kī ḳhabar nahīñ aatī
nazar aatā hai rang ashkoñ meñ
choT dil kī nazar nahīñ aatī
kyā ḳhafā ho ga.ī tajallī-e-dost
ab kabhī tuur par nahīñ aatī
aisī qismat kahāñ ki jaam aatā
bū-e-mai bhī idhar nahīñ aatī
jis meñ rahtā thā intizār un kā
ab vo shām-o-sahar nahīñ aatī
kyoñ phir itrā rahī hai bād-e-bahār
us galī se agar nahīñ aatī
vo hañsī phir rahī hai āñkhoñ meñ
aañkh kyoñ apnī bhar nahīñ aatī
haa.e kis kaam kī hai tū ai maut
kaam jab vaqt par nahīñ aatī
apne qaabū meñ ye tabī.at bhī
ab to do-do pahar nahīñ aatī
ḳhat kā aatā javāb kyā 'muztar'
ḳhabar-e-nāma-bar nahīñ aatī
un ki surat nazar nahin aati
nind ai chashm-e-tar nahin aati
kam hua ja raha hai zauq-e-junun
fasl-e-gul ki KHabar nahin aati
nazar aata hai rang ashkon mein
choT dil ki nazar nahin aati
kya KHafa ho gai tajalli-e-dost
ab kabhi tur par nahin aati
aisi qismat kahan ki jam aata
bu-e-mai bhi idhar nahin aati
jis mein rahta tha intizar un ka
ab wo sham-o-sahar nahin aati
kyon phir itra rahi hai baad-e-bahaar
us gali se agar nahin aati
wo hansi phir rahi hai aankhon mein
aankh kyon apni bhar nahin aati
hae kis kaam ki hai tu ai maut
kaam jab waqt par nahin aati
apne qabu mein ye tabiat bhi
ab to do-do pahar nahin aati
KHat ka aata jawab kya 'muztar'
KHabar-e-nama-bar nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.