unki yaad aae to kuchh us ka taqaza hoga
un kī yaad aa.e to kuchh us kā taqāza hogā
sochtā huuñ vo rahe yaad to phir kyā hogā
chain thā us kī huzūrī meñ na duurī meñ sukūñ
'umr bhar us kī mohabbat meñ taḌapnā hogā
jis ne dekhā tujhe ai dost khulī āñkhoñ se
vo samajhtā hai kabhī ḳhvāb meñ dekhā hogā
khul gayā raaz agar husn kī yaktā.ī kā
ham burā jis ko samajhte haiñ vo achchhā hogā
ḳhalvat-e-ārā hai bharī bazm meñ vo paikar-e-nāz
apnī ḳhalvat meñ na kyuuñ anjuman-ārā hogā
'ālam-e-hosh ho yā jalva-gah-e-jāñ ho 'zahīn'
maiñ ḳhud aayā nahīñ koī mujhe laayā hogā
un ki yaad aae to kuchh us ka taqaza hoga
sochta hun wo rahe yaad to phir kya hoga
chain tha us ki huzuri mein na duri mein sukun
'umr bhar us ki mohabbat mein taDapna hoga
jis ne dekha tujhe ai dost khuli aankhon se
wo samajhta hai kabhi KHwab mein dekha hoga
khul gaya raaz agar husn ki yaktai ka
hum bura jis ko samajhte hain wo achchha hoga
KHalwat-e-ara hai bhari bazm mein wo paikar-e-naz
apni KHalwat mein na kyun anjuman-ara hoga
'alam-e-hosh ho ya jalwa-gah-e-jaan ho 'zahin'
main KHud aaya nahin koi mujhe laya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.