unki yaadon ki hasin parchhaiyan rah jaengi
un kī yādoñ kī hasīñ parchhā.iyāñ rah jā.eñgī
dil ko Dasne ke liye tanhā.iyāñ rah jā.eñgī
ham na hoñge phir bhī bazm-ārā.īyāñ rah jā.eñgī
apnī shohrat ke liye rusvā.iyāñ rah jā.eñgī
ham ḳhalā kī vus.atoñ meñ is tarah kho jā.eñge
duur tak bikhrī huī tanhā.iyāñ rah jā.eñgī
miT na pā.eñge kisī sūrat bhī maazī ke nuqūsh
dil kī dīvāroñ pe kuchh parchhā.iyāñ rah jā.eñgī
ham musāfir haiñ nikal jā.eñge har bastī se duur
aur ham ko DhūñDhtī purvā.iyāñ rah jā.eñgī
phuul se ḳhushbū kī sūrat ham judā ho jā.eñge
ye bahāreñ ye chaman-ārā.iyāñ rah jā.eñgī
misl-e-naġhma ham fazā meñ jazb ho jā.eñge 'arsh'
gungunātī gūñjtī shahnā.iyāñ rah jā.eñgī
un ki yaadon ki hasin parchhaiyan rah jaengi
dil ko Dasne ke liye tanhaiyan rah jaengi
hum na honge phir bhi bazm-araiyan rah jaengi
apni shohrat ke liye ruswaiyan rah jaengi
hum KHala ki wusaton mein is tarah kho jaenge
dur tak bikhri hui tanhaiyan rah jaengi
miT na paenge kisi surat bhi mazi ke nuqush
dil ki diwaron pe kuchh parchhaiyan rah jaengi
hum musafir hain nikal jaenge har basti se dur
aur hum ko DhunDhti purwaiyan rah jaengi
phul se KHushbu ki surat hum juda ho jaenge
ye bahaaren ye chaman-araiyan rah jaengi
misl-e-naghma hum faza mein jazb ho jaenge 'arsh'
gungunati gunjti shahnaiyan rah jaengi
- Book : Usloob (Pg. 23)
- Author : Arsh Sehbai
- Publication : Maktaba Urdu Adab (1991)
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.