un ko apni KHabar nahin hoti
un ko apnī ḳhabar nahīñ hotī
kaash hotī magar nahīñ hotī
sub.h-e-ishrat to kaT ga.ī lekin
shām-e-ġham muḳhtasar nahīñ hotī
aap mujh se na rūThte to mirī
duniyā zer-o-zabar nahīñ hotī
yūñhī jo sab ke haath aa jaa.e
anqā be-bāl-o-par nahīñ hotī
ḳhaar bo detā is galī meñ agar
ye tirī rahguzar nahīñ hotī
mere marne kī phir duā māñgeñ
har duā be-asar nahīñ hotī
un ko apni KHabar nahin hoti
kash hoti magar nahin hoti
subh-e-ishrat to kaT gai lekin
sham-e-gham muKHtasar nahin hoti
aap mujh se na ruThte to meri
duniya zer-o-zabar nahin hoti
yunhi jo sab ke hath aa jae
anqa be-baal-o-par nahin hoti
KHar bo deta is gali mein agar
ye teri rahguzar nahin hoti
mere marne ki phir dua mangen
har dua be-asar nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.