un ko but samjhā thā yā un ko ḳhudā samjhā thā maiñ
haañ batā de ai jabīn-e-shauq kyā samjhā thā maiñ
allāh allāh kyā ināyat kar ga.ī mizrāb-e-ishq
varna sāz-e-zindagī ko be-sadā samjhā thā maiñ
un se shikva kyuuñ karūñ un se shikāyat kyā karūñ
ḳhud baḌī mushkil se apnā mudda.ā samjhā thā maiñ
merī hālat dekhiye merā taḌapnā dekhiye
aap ko is se ġharaz kyā hai ki kyā samjhā thā maiñ
khul gayā ye raaz un āñkhoñ ke ashk-e-nāz se
kaifiyāt-e-husn ko ġham se judā samjhā thā maiñ
ai jabīn-e-shauq haañ tujh ko baḌī zahmat huī
aaj har zarre ko un kā naqsh-e-pā samjhā thā maiñ
ik nazar par munhasir thī ziist kī kul kā.enāt
har nazar ko jaan jān-e-mudda.ā samjhā thā maiñ
aa rahā hai kyuuñ kisī kā naam hoñToñ tak mire
ai dil-e-muztar tujhe sabr-āzmā samjhā thā maiñ
aap to har har qadam par ho rahe haiñ jalva-gar
aap ko hadd-e-nazar se māvarā samjhā thā maiñ
ye fuġhāñ ye shor ye naale ye shevan the fuzūl
kyā batātī thī mohabbat aur kyā samjhā thā maiñ
us nigāh-e-nāz ne 'bahzād' mujh ko kho diyā
jis nigāh-e-nāz ko apnī davā samjhā thā maiñ
un ko but samjha tha ya un ko KHuda samjha tha main
han bata de ai jabin-e-shauq kya samjha tha main
allah allah kya inayat kar gai mizrab-e-ishq
warna saz-e-zindagi ko be-sada samjha tha main
un se shikwa kyun karun un se shikayat kya karun
KHud baDi mushkil se apna muddaa samjha tha main
meri haalat dekhiye mera taDapna dekhiye
aap ko is se gharaz kya hai ki kya samjha tha main
khul gaya ye raaz un aankhon ke ashk-e-naz se
kaifiyat-e-husn ko gham se juda samjha tha main
ai jabin-e-shauq han tujh ko baDi zahmat hui
aaj har zarre ko un ka naqsh-e-pa samjha tha main
ek nazar par munhasir thi zist ki kul kaenat
har nazar ko jaan jaan-e-muddaa samjha tha main
aa raha hai kyun kisi ka nam honTon tak mere
ai dil-e-muztar tujhe sabr-azma samjha tha main
aap to har har qadam par ho rahe hain jalwa-gar
aap ko hadd-e-nazar se mawara samjha tha main
ye fughan ye shor ye nale ye shewan the fuzul
kya batati thi mohabbat aur kya samjha tha main
us nigah-e-naz ne 'bahzad' mujh ko kho diya
jis nigah-e-naz ko apni dawa samjha tha main
Source :
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 78)
- Author : Farooq Argali
-
Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
(2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.