un ko dekha jo ek nazar humne
un ko dekhā jo ik nazar ham ne
dil sañbhālā kabhī jigar ham ne
ik ishāre meñ le uḌe dil ko
tum sā dekhā na fitna-gar ham ne
raat bhar un kā intizār kiyā
taare gin gin ke kī sahar ham ne
apnī taqdīr meñ kahāñ rāhat
kabhī dekhī na 'umr bhar ham ne
un kī furqat meñ apne dāman ko
āñsuoñ se kiyā hai tar ham ne
jaan se apnī haath dho baiThe
paayā ulfat kā ye samar ham ne
un kī tasvīr hī se ai 'paikāñ'
dil ko bahlāyā raat bhar ham ne
un ko dekha jo ek nazar hum ne
dil sanbhaala kabhi jigar hum ne
ek ishaare mein le uDe dil ko
tum sa dekha na fitna-gar hum ne
raat bhar un ka intizar kiya
tare gin gin ke ki sahar hum ne
apni taqdir mein kahan rahat
kabhi dekhi na 'umr bhar hum ne
un ki furqat mein apne daman ko
aansuon se kiya hai tar hum ne
jaan se apni hath dho baiThe
paya ulfat ka ye samar hum ne
un ki taswir hi se ai 'paikan'
dil ko bahlaya raat bhar hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.