un ko dekhe ab hamein kitne zamane ho gae
un ko dekhe ab hameñ kitne zamāne ho ga.e
pyaar ke qisse hamāre sab purāne ho ga.e
haath thāme jin pe ham chalte the ab vo rāste
pūchhte haiñ kyā huā ham kyoñ divāne ho ga.e
mujh ko zinda dekh kar hairān haiñ mere raqīb
sochte haiñ kyoñ ḳhatā un ke nishāne ho ga.e
tū nahīñ to chār-sū tanhā.iyoñ ke jaal haiñ
ghar se ab nikleñ kahāñ ghar qaid-ḳhāne ho ga.e
ghar mirā rūhoñ kā maskan har taraf vīrāniyāñ
āj-kal rūhoñ se mere dostāne ho ga.e
un ko dekhe ab hamein kitne zamane ho gae
pyar ke qisse hamare sab purane ho gae
hath thame jin pe hum chalte the ab wo raste
puchhte hain kya hua hum kyon diwane ho gae
mujh ko zinda dekh kar hairan hain mere raqib
sochte hain kyon KHata un ke nishane ho gae
tu nahin to chaar-su tanhaiyon ke jal hain
ghar se ab niklen kahan ghar qaid-KHane ho gae
ghar mera ruhon ka maskan har taraf viraniyan
aaj-kal ruhon se mere dostane ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.