un ko gham ki KHabar na ho jae
un ko ġham kī ḳhabar na ho jaa.e
mudda.ā be-asar na ho jaa.e
haañ sañbhal kar naqāb ruḳh se ulaT
dekh zaḳhmī nazar na ho jaa.e
āriz-e-ruḳh kī sho.ala-sāmānī
rashk-e-shams-o-qamar na ho jaa.e
phir vo nikle haiñ aaj saj-dhaj kar
nazm-e-ālam digar na ho jaa.e
ro paḌe sun ke dāstān-e-hayāt
ishq phir mo'atabar na ho jaa.e
vo Tahalte haiñ sehn-e-gulshan meñ
raqs-e-barq-o-sharar na ho jaa.e
tū jidhar aaj jā rahā hai dost
vo mirī rahguzar na ho jaa.e
azm-e-rāh-e-mazār-e-bulbul par
pursish-e-bāl-o-par na ho jaa.e
ḳhud-satā.ī kahīñ 'azīm' apnī
be-niyāz-e-asar na ho jaa.e
un ko gham ki KHabar na ho jae
muddaa be-asar na ho jae
han sanbhal kar naqab ruKH se ulaT
dekh zaKHmi nazar na ho jae
aariz-e-ruKH ki shoala-samani
rashk-e-shams-o-qamar na ho jae
phir wo nikle hain aaj saj-dhaj kar
nazm-e-alam digar na ho jae
ro paDe sun ke dastan-e-hayat
ishq phir mo'atabar na ho jae
wo Tahalte hain sehn-e-gulshan mein
raqs-e-barq-o-sharar na ho jae
tu jidhar aaj ja raha hai dost
wo meri rahguzar na ho jae
azm-e-rah-e-mazar-e-bulbul par
pursish-e-baal-o-par na ho jae
KHud-satai kahin 'azim' apni
be-niyaz-e-asar na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.