un ko maine apna kaha hai
un ko maiñ ne apnā kahā hai
itnī hī bas apnī ḳhatā hai
raahī hairāñ dekh rahā hai
rahzan hī ab rāh-numā hai
ye dil un se jab se lagā hai
un ke sivā sab bhuul gayā hai
us jiine se baaz ham aa.e
jiinā kyā hai ek sazā hai
lab khulte hī phuul haiñ jhaḌte
kitnī pyārī un kī adā hai
un ko main ne apna kaha hai
itni hi bas apni KHata hai
rahi hairan dekh raha hai
rahzan hi ab rah-numa hai
ye dil un se jab se laga hai
un ke siwa sab bhul gaya hai
us jine se baz hum aae
jina kya hai ek saza hai
lab khulte hi phul hain jhaDte
kitni pyari un ki ada hai
- Book : Harf Harf Khowab (Pg. 89)
- Author : asi ramnagari
- Publication : Nasim Pathara Po. Moghalsarai (Varansi) (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.