un ko mein karbala ke mahine mein launga
un ko meñ karbalā ke mahīne meñ lā.ūñgā
kuufa ke saare log madīne meñ lā.ūñgā
ye zar bhī ek roz dafīne meñ lā.ūñgā
saare jahāñ ke dard ko siine meñ lā.ūñgā
miTTī kuchh ajnabī se jazīroñ kī lāzmī
lauTā tū apne saath safīne meñ lā.ūñgā
pahle karūñgā chhat pe bahut der guftugū
phir is ke ba.ad chāñd ko ziine meñ lā.ūñgā
jī bhar ke meñ ne ḳhaak uḌā lī nagar nagar
ab zindagī ko ek qarīne meñ lā.ūñgā
un ko mein karbala ke mahine mein launga
kufa ke sare log madine mein launga
ye zar bhi ek roz dafine mein launga
sare jahan ke dard ko sine mein launga
miTTi kuchh ajnabi se jaziron ki lazmi
lauTa tu apne sath safine mein launga
pahle karunga chhat pe bahut der guftugu
phir is ke baad chand ko zine mein launga
ji bhar ke mein ne KHak uDa li nagar nagar
ab zindagi ko ek qarine mein launga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.