un ko ruswa mujhe KHarab na kar
un ko rusvā mujhe ḳharāb na kar
ai dil itnā bhī iztirāb na kar
āmad-e-yār kī umiid na chhoḌ
dekh ai aañkh mail-e-ḳhvāb na kar
mil hī rahtī hai mai-parast ko mai
fikr-e-nā-yābi-e-sharāb na kar
nāsehā ham kareñge sharh-e-junūñ
dil-e-dīvāna se ḳhitāb na kar
shauq yāroñ kā be-shumār nahīñ
sitam ai dost be-hisāb na kar
dil ko mast-e-ḳhayāl-e-yār banā
lab ko ālūda-e-sharāb na kar
rakh bahar-hāl shaġhl-e-mai 'hasrat'
is meñ parvā-e-sheḳh-o-shāb na kar
un ko ruswa mujhe KHarab na kar
ai dil itna bhi iztirab na kar
aamad-e-yar ki umid na chhoD
dekh ai aankh mail-e-KHwab na kar
mil hi rahti hai mai-parast ko mai
fikr-e-na-yabi-e-sharab na kar
naseha hum karenge sharh-e-junun
dil-e-diwana se KHitab na kar
shauq yaron ka be-shumar nahin
sitam ai dost be-hisab na kar
dil ko mast-e-KHayal-e-yar bana
lab ko aaluda-e-sharab na kar
rakh bahar-haal shaghl-e-mai 'hasrat'
is mein parwa-e-sheKH-o-shab na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.