un lamhon ko guzre bhi ab ek zamana bit gaya
un lamhoñ ko guzre bhī ab ek zamāna biit gayā
aadhī adhūrī bāteñ kar ke chalā vo merā miit gayā
sāvan kī bhīgī rātoñ meñ peḌoñ kī ThanDī chhāñv meñ
lafzoñ meñ bāñdhā thā jis ko kahāñ vo merā giit gayā
jamunā gangā ke sangam kī niilī piilī lahroñ meñ
ḳhat meñ mere giit tumhāre jīvan kā sangīt gayā
raat kī raanī ke saa.e meñ puure chāñd kī aadhī rāteñ
duniyā sotī ham the jaage pyaar hamārā jiit gayā
kal sochā thā kal mil leñge aaj ye sochā kal dekheñge
tum se milne kī chāhat meñ saal ye saarā biit gayā
un lamhon ko guzre bhi ab ek zamana bit gaya
aadhi adhuri baaten kar ke chala wo mera mit gaya
sawan ki bhigi raaton mein peDon ki ThanDi chhanw mein
lafzon mein bandha tha jis ko kahan wo mera git gaya
jamuna ganga ke sangam ki nili pili lahron mein
KHat mein mere git tumhaare jiwan ka sangit gaya
raat ki rani ke sae mein pure chand ki aadhi raaten
duniya soti hum the jage pyar hamara jit gaya
kal socha tha kal mil lenge aaj ye socha kal dekhenge
tum se milne ki chahat mein sal ye sara bit gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.