un ne kiya tha yaad mujhe bhul kar kahin
un ne kiyā thā yaad mujhe bhuul kar kahīñ
paatā nahīñ huuñ tab se maiñ apnī ḳhabar kahīñ
aa jaa.e aise jiine se apnā to jī ba-tañg
jiitā rahegā kab talak ai ḳhizr mar kahīñ
phirtī rahī taḌaptī hī aalam meñ jā-ba-jā
dekhā na merī aah ne rū-e-asar kahīñ
muddat talak jahān meñ hañste phirā kiye
jī meñ hai ḳhuub roiye ab baiTh kar kahīñ
yuuñ to nazar paḌe haiñ dil-afgār aur bhī
dil riish koī aap sā dekhā na par kahīñ
zālim jafā jo chāhe so kar mujh pe tū vale
pachhtāve phir to aap hī aisā na kar kahīñ
phirte to ho banā.e saj apnī jidhar tidhar
lag jaave dekhiyo na kasū kī nazar kahīñ
pūchhā maiñ dard se ki batā tū sahī mujhe
ai ḳhānumāñ-ḳharāb hai tere bhī ghar kahīñ
kahne lagā makān-e-muayyan faqīr ko
lāzim hai kyā ki ek hī jāgah ho har kahīñ
darvesh har kujā ki shab aamad sarā-e-ūst
tū ne sunā nahīñ hai ye misra.a magar kahīñ
un ne kiya tha yaad mujhe bhul kar kahin
pata nahin hun tab se main apni KHabar kahin
aa jae aise jine se apna to ji ba-tang
jita rahega kab talak ai KHizr mar kahin
phirti rahi taDapti hi aalam mein ja-ba-ja
dekha na meri aah ne ru-e-asar kahin
muddat talak jahan mein hanste phira kiye
ji mein hai KHub roiye ab baiTh kar kahin
yun to nazar paDe hain dil-afgar aur bhi
dil rish koi aap sa dekha na par kahin
zalim jafa jo chahe so kar mujh pe tu wale
pachhtawe phir to aap hi aisa na kar kahin
phirte to ho banae saj apni jidhar tidhar
lag jawe dekhiyo na kasu ki nazar kahin
puchha main dard se ki bata tu sahi mujhe
ai KHanuman-KHarab hai tere bhi ghar kahin
kahne laga makan-e-muayyan faqir ko
lazim hai kya ki ek hi jagah ho har kahin
darwesh har kuja ki shab aamad sara-e-ust
tu ne suna nahin hai ye misra magar kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.