Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un se bargashta-nigahi ke siwa kuchh na mila

Munawwar Lakhnavi

un se bargashta-nigahi ke siwa kuchh na mila

Munawwar Lakhnavi

un se bargashta-nigāhī ke sivā kuchh na milā

āḳhir-e-kār tabāhī ke sivā kuchh na milā

dil ko har-chand kuredā magar us tah meñ

ek bahke hue raahī ke sivā kuchh na milā

chāñd taare nigah-e-pās meñ nikle be-nūr

āsmānoñ meñ siyāhī ke sivā kuchh na milā

tajziya un ke irādoñ jo karne baiThe

ġhair pusht-panāhī ke sivā kuchh na milā

'munavār' ne duā jo bhī vo nākām rahī

ajr meñ qahr-e-ilāhī ke sivā kuchh na milā

un se bargashta-nigahi ke siwa kuchh na mila

aaKHir-e-kar tabahi ke siwa kuchh na mila

dil ko har-chand kureda magar us ki tah mein

ek bahke hue rahi ke siwa kuchh na mila

chand tare nigah-e-pas mein nikle be-nur

aasmanon mein siyahi ke siwa kuchh na mila

tajziya un ke iradon ka jo karne baiThe

ghair ki pusht-panahi ke siwa kuchh na mila

ki 'munawar' ne dua jo bhi wo nakaam rahi

ajr mein qahr-e-ilahi ke siwa kuchh na mila

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now