un se gale mila to meri be-dili gai
un se gale milā to mirī be-dilī ga.ī
jaise kisī marīz ki sab ḳhastagī ga.ī
kuchh ilm bhī nahīñ hai mire ishq kā use
bas dost dost kahte hue zindagī ga.ī
aisā nahīñ ki zindagī hī rā.egāñ huī
is shā.irī ke fan se to bas naukrī ga.ī
mere qarīb aane se dariyā jhijhak gayā
dariyā ko aise dekh ke hī tishnagī ga.ī
un se gale mila to meri be-dili gai
jaise kisi mariz ki sab KHastagi gai
kuchh ilm bhi nahin hai mere ishq ka use
bas dost dost kahte hue zindagi gai
aisa nahin ki zindagi hi raegan hui
is shairi ke fan se to bas naukri gai
mere qarib aane se dariya jhijhak gaya
dariya ko aise dekh ke hi tishnagi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.