un se gar faizyab ho jata
un se gar faizyāb ho jaatā
māhtāb āftāb ho jaatā
jā sakā maiñ na bām-e-jānāñ tak
varna ālī-janāb ho jaatā
aage taqdīr kī rasā.ī thī
maiñ vahāñ bāryāb ho jaatā
dil lagānā savāb thā lekin
jī chhuḌānā azaab ho jaatā
'nūh' hote agar na shāhid-bāz
maiñ murīd-e-janāb ho jaatā
un se gar faizyab ho jata
mahtab aaftab ho jata
ja saka main na baam-e-jaanan tak
warna aali-janab ho jata
aage taqdir ki rasai thi
main wahan baryab ho jata
dil lagana sawab tha lekin
ji chhuDana azab ho jata
'nuh' hote agar na shahid-baz
main murid-e-janab ho jata
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 139)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.