un se jab bhi kalam hota hai
un se jab bhī kalām hotā hai
dil ko dil se payām hotā hai
us kī nazroñ meñ jo samā jaa.e
bas vahī shād-kām hotā hai
husn kā dabdaba ta.ālallāh
bādshah bhī ġhulām hotā hai
ham ne dekhā namāz-e-ulfat meñ
muqtadī bhī imaam hotā hai
ham ne dekhā hai marne vāloñ ke
lab pe terā hī naam hotā hai
dard hotā hai bas vahīñ dil meñ
terā jis jā maqām hotā hai
vo sitamgar bhī hazrat-e-'nāzī'
kahīñ bātoñ meñ raam hotā hai
un se jab bhi kalam hota hai
dil ko dil se payam hota hai
us ki nazron mein jo sama jae
bas wahi shad-kaam hota hai
husn ka dabdaba taalallah
baadshah bhi ghulam hota hai
hum ne dekha namaz-e-ulfat mein
muqtadi bhi imam hota hai
hum ne dekha hai marne walon ke
lab pe tera hi nam hota hai
dard hota hai bas wahin dil mein
tera jis ja maqam hota hai
wo sitamgar bhi hazrat-e-'nazi'
kahin baaton mein ram hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.