un se kahta hun yaad kar mujhko
un se kahtā huuñ yaad kar mujh ko
yaad karte nahīñ magar mujh ko
āshiyāne pe aa giregī barq
yūñhī rahne de dar-ba-dar mujh ko
maiñ gayā jo tire binā vāpas
kaaT khā.egā merā ghar mujh ko
so ke uThte hī maiñ ne jaam piyā
shaam lagtī hai ab sahar mujh ko
haal aisā huā hai ġham meñ tire
mar jā kahtā hai chārāgar mujh ko
un se kahta hun yaad kar mujh ko
yaad karte nahin magar mujh ko
aashiyane pe aa giregi barq
yunhi rahne de dar-ba-dar mujh ko
main gaya jo tere bina wapas
kaT khaega mera ghar mujh ko
so ke uThte hi main ne jam piya
sham lagti hai ab sahar mujh ko
haal aisa hua hai gham mein tere
mar ja kahta hai chaaragar mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.