un se kya puchhte ho log to kam jaante hain
un se kyā pūchhte ho log to kam jānte haiñ
apne hālāt ko achchhī tarah ham jānte haiñ
ham ne jaanā hai tujhe apnī mohabbat kā ḳhudā
log nādān haiñ patthar kā sanam jānte haiñ
tū ne muñh pher liyā raah meñ ham se jab kī
ham tirī aañkh kā jhuknā bhī sitam jānte haiñ
dil meñ jo sho.ale bhaḌakte haiñ kahāñ dekhe haiñ
aap to bas mirī āñkhoñ ko hī nam jānte haiñ
DhūñDh pā.īñ nahīñ ḳhushiyāñ mirī chaukhaT ab tak
ek muddat se pata merā ye ġham jānte haiñ
un se kya puchhte ho log to kam jaante hain
apne haalat ko achchhi tarah hum jaante hain
hum ne jaana hai tujhe apni mohabbat ka KHuda
log nadan hain patthar ka sanam jaante hain
tu ne munh pher liya rah mein hum se jab ki
hum teri aankh ka jhukna bhi sitam jaante hain
dil mein jo shoale bhaDakte hain kahan dekhe hain
aap to bas meri aankhon ko hi nam jaante hain
DhunDh pain nahin KHushiyan meri chaukhaT ab tak
ek muddat se pata mera ye gham jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.