Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un se kya puchhte ho log to kam jaante hain

Rizwan Haider

un se kya puchhte ho log to kam jaante hain

Rizwan Haider

MORE BYRizwan Haider

    un se kyā pūchhte ho log to kam jānte haiñ

    apne hālāt ko achchhī tarah ham jānte haiñ

    ham ne jaanā hai tujhe apnī mohabbat ḳhudā

    log nādān haiñ patthar sanam jānte haiñ

    ne muñh pher liyā raah meñ ham se jab ki

    ham tirī aañkh jhuknā bhī sitam jānte haiñ

    dil meñ jo sho.ale bhaḌakte haiñ kahāñ dekhe haiñ

    aap to bas mirī āñkhoñ ko nam jānte haiñ

    DhūñDh pā.īñ nahīñ ḳhushiyāñ mirī chaukhaT ab tak

    ek muddat se patā merā ye ġham jānte haiñ

    un se kya puchhte ho log to kam jaante hain

    apne haalat ko achchhi tarah hum jaante hain

    hum ne jaana hai tujhe apni mohabbat ka KHuda

    log nadan hain patthar ka sanam jaante hain

    tu ne munh pher liya rah mein hum se jab ki

    hum teri aankh ka jhukna bhi sitam jaante hain

    dil mein jo shoale bhaDakte hain kahan dekhe hain

    aap to bas meri aankhon ko hi nam jaante hain

    DhunDh pain nahin KHushiyan meri chaukhaT ab tak

    ek muddat se pata mera ye gham jaante hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now