un se kyon dil mila nahin malum
un se kyoñ dil milā nahīñ ma.alūm
ishq kyūñkar huā nahīñ ma.alūm
dost bhī dushmanoñ ke jaise haiñ
kaun hai bā-vafā nahīñ ma.alūm
jo usūloñ pe jaan dete the
kyoñ hue pur-daġhā nahīñ ma.alūm
rahbarī par thā jis kī naaz mujhe
kyoñ hai bhaTkā huā nahīñ ma.alūm
dil kī bāteñ sunā jo karte haiñ
kyā unheñ mudda.ā nahīñ ma.alūm
kyoñ mujhe DhūñDne vo nikle haiñ
guzrā kyā hādisa nahīñ ma.alūm
zulm jo kar rahe haiñ apnoñ par
hoñge kis din fanā nahīñ ma.alūm
apne mohsin ko qaid karte haiñ
lekin us kī ḳhatā nahīñ ma.alūm
aaj tak zālimoñ ko ai 'ayyūb'
sabr kī intihā nahīñ ma.alūm
un se kyon dil mila nahin malum
ishq kyunkar hua nahin malum
dost bhi dushmanon ke jaise hain
kaun hai ba-wafa nahin malum
jo usulon pe jaan dete the
kyon hue pur-dagha nahin malum
rahbari par tha jis ki naz mujhe
kyon hai bhaTka hua nahin malum
dil ki baaten suna jo karte hain
kya unhen muddaa nahin malum
kyon mujhe DhunDne wo nikle hain
guzra kya hadisa nahin malum
zulm jo kar rahe hain apnon par
honge kis din fana nahin malum
apne mohsin ko qaid karte hain
lekin us ki KHata nahin malum
aaj tak zalimon ko ai 'ayyub'
sabr ki intiha nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.