un se mili nigah to mausam badal gaya
un se mili nigah to mausam badal gaya
Munawwar Jahan Munawwar
MORE BYMunawwar Jahan Munawwar
un se milī nigāh to mausam badal gayā
dāmān-e-chāk-chāk tamannā kā sil gayā
dil kā shagūfa us gul-e-nāzuk se khil gayā
dekhā zarā TaTol ke pahlū se dil gayā
tūfān ik balā kā mire āñsuoñ meñ thā
pighlā na vo kaleja samundar kā hil gayā
ishq-e-tabāh-hāl ne vo mo.ajiza kiyā
bāġh-e-iram se ḳhāna-e-vīrān mil gayā
us sang-dil ne paañv se maslī jo shāḳh-e-gul
aisā lagā ki dil kā koī zaḳhm chhil gayā
tū e.atibār-e-zīst se āñkheñ milā ke dekh
ḳhvāboñ ke pairahan meñ tirā ruup khil gayā
ye kaun hai utaar diyā zindagī se bojh
vo kaun thā jo dil pe mire rakh ke sil gayā
us kā ḳhayāl thā ki 'munavvar' ke dil ke daaġh
lekin añdherā dil se mire mustaqil gayā
un se mili nigah to mausam badal gaya
daman-e-chaak-chaak tamanna ka sil gaya
dil ka shagufa us gul-e-nazuk se khil gaya
dekha zara TaTol ke pahlu se dil gaya
tufan ek bala ka mere aansuon mein tha
pighla na wo kaleja samundar ka hil gaya
ishq-e-tabah-haal ne wo moajiza kiya
bagh-e-iram se KHana-e-viran mil gaya
us sang-dil ne panw se masli jo shaKH-e-gul
aisa laga ki dil ka koi zaKHm chhil gaya
tu eatibar-e-zist se aankhen mila ke dekh
KHwabon ke pairahan mein tera rup khil gaya
ye kaun hai utar diya zindagi se bojh
wo kaun tha jo dil pe mere rakh ke sil gaya
us ka KHayal tha ki 'munawwar' ke dil ke dagh
lekin andhera dil se mere mustaqil gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.