un se milna kisi bahane se
un se milnā kisī bahāne se
varna matlab sharāb-ḳhāne se
niiñd aa jā.egī sunā to sahī
hāl-e-dil kam nahīñ fasāne se
zabt-e-ġham se Tapak paḌe aañsū
ishq chhuptā nahīñ chhupāne se
ātish-e-ishq bhī ġhazab hai koī
bhaḌak uThtī hai kuchh bujhāne se
zulm kyā kyā sahe magar 'raunaq'
tum na baaz aa.e dil lagāne se
un se milna kisi bahane se
warna matlab sharab-KHane se
nind aa jaegi suna to sahi
haal-e-dil kam nahin fasane se
zabt-e-gham se Tapak paDe aansu
ishq chhupta nahin chhupane se
aatish-e-ishq bhi ghazab hai koi
bhaDak uThti hai kuchh bujhane se
zulm kya kya sahe magar 'raunaq'
tum na baz aae dil lagane se
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 123)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.